Skip to main content

Posts

Showing posts from 2006

Yaad

Uski ek yaad bechain kar jaati hai, har gali mein uski hi surat nazar aati hai, kaisa haal kiya usne pyaar mein humara, Ki neend aati hai to aankhen bura maan jaati hai.

Kyun??

Dedicated to a person whom I met almost a yr back, she has inspired me a lot and has even changed my outlook for life. Despite having limited interaction wid her, I am touched by her concern for people. She is one person wid whom u wud luv to spend ur rest of life. N pls dont ask her name, bcoz " Baat niklege to phir bahut door talak jaayegi......, n hum usko beparda nahin karna chahte hain". Getting 2 senti, neeways u all njoi d gazal, n this based on eternal luv. Kyun pyaar uss par hi aata hai, Jo mil kar bhi nahin mil pata hai. Kaise yeh usse batayein hum, Ki Uske bin rah na paayein hum. Kyun baar baar woh satata hai - Kuwaabon main aakar rulata hai? Bhulanaa us ko chahein hum, Par kis tarah bhulaayein hum? Woh mann main har dum rehta hai, Dharkan ki tarah dharkta hai. Hain issi ehsaas se zindaa hum, Hain ek-duje ke dil o jaan hum. Ek duje ke dil main rahte hain Kya pyaar issi ko kahte hain?

Aitbaar

Kismat par aitbaar kisko hai, Mil jaaye khushi tho inkaar kisko hai, Kuch majbooriyan hai mere dost, Warna judai se pyaar kisko hai !

Yaad

Barish jab bhi uski chhat ko bhigoti hogi, woh bhi meri yaad mein roti hogi.. woh kare lakh mana magar mera naam sunkar, halki si chubhan uske dil mein bhi hoti hogi... Hum to luta chuke hain sab kuch pyar mein, ab chain se wo bhi kahan soti hogi.. Ji rahe hain milan ke chand lamhon ke sahare, woh bhi akele mein meri yaadein sanjoti hogi !!!

Zindagi

Zindagi naumeed si hui jaa rahi hai.. Kashthi majhdhaar mein fasti jaa rahi hai.. Muskurate hain hum ab bhi mehfil mein tumhare.. Ret ki tarah par, saasein fisalti jaa rahi hai...

Saans

Bheegi palkon ke saang, muskurate hain hum... Pal pal dil ko, behlaate hai hum... Tu door hai humse to kya hua, Har saans mein teri aahat pate hain hum....

Akela

Apni bebasi pe aaj mujhe rona aaya, Gairon ko chod maine apno ko aazmaya.. Har dost ki tanhai door ki maine, Par khud ko har mod pe akela paya ...

Ehsaas

Jo rehte hai dil mein juda nahi hote, Kuch ehsaas lafzon se bayan nahi hote.... Yeh hasrat hai dil mein manaye unko kabhi, Ek woh hain kabhi khafa nahi hote..

Dil mein- from Sajda

Dil men ab dardemuhabbat ke sivaa kuchh bhii nahiin, Zindagii merii ibaadat ke sivaa kuchh bhii nahiin.. Main terii barahgahenaaz men kyaa pesh karuuN, Merii jholii men muhabbat ke sivaa kuchh bhii nahiin.. Ae Khudaa mujhase naa le mere gunaahon kaa hisaab, Mere paas ashqenadaamat ke sivaa kuchh bhii nahiin.. Vo to miT kar mujh ko mil hii gayii raahat varanaa, Zindagii ranjomusiibat ke sivaa kuchh bhii nahiin!!

Zindagi koi badua lage

Hi 2 all, again many thanks for visiting d blog n keeping my spirits high to write more n more. This is something which I want 2 dedicate 2 someone special, N I really like d 3 para, njoi reading. Har ek rooh mein ek gham chupa laage hai mujhe, Yeh zindagi to koi badua laage hai mujhe. Na jaane waqt ki raftar kya dikhati hai mujhe, Kabhi Kabhi to bada khauf sa laage hai mujhe. Yeh zindagi to koi badua laage hai mujhe. Ab ek-aadh kadam ka hisaab kya rakhe, Ab talag to wahi fasla lage hai mujhe. Yeh zindagi to koi badua laage hai mujhe. Daba ke aayi hai seena mein kaun si aahien, Kuch aaj rang sawla lage hai mujhe. Yeh zindagi to koi badua laage hai mujhe. Yeh zindagi to koi badua laage hai mujhe.

Jee chahta hai

Kuch sapne aaj bhi hain ashkon par, jinhe sajaane ko jee chahta hai. Kuch armaan aaj bhi hain seene me, Jinhe poora karne ko jee chahta hai.... Kuch aansoo aaj bhi hain palko par, jinhe bahaa dene ko jee chahta hai. Kuch unkahe lavz aaj bhi hain labon par, Jinhe keh dene ko jee chahta hai... Kuch khwahish aaj bhi hain zindagi me, Jinhe sach karne ko jee chahta hai. Kuch ranjish aaj bhi hain dil me, Jinhe mita dene ko jee chahta hai... Kuch sawaal aaj bhi hain mann me, Jinhe poochne ko jee chahta hai. Kuch khauff aaj bhi zehan me, Jinhe bhool jaane ko jee chahta hai... Na jaane kyun hai tanhai ka aalam aaj bhi, shaayad tumhara saath paane ko jee chahta hai. Na jaane kyun hai dhadkano ko kami kisi ki, Shaayad tumhe dil me basane ko jee chahta hai.....

Khayaal n Zakhm

Is dil mein khayaal jab tumhaare hote hain, Mere daaman mein chaand aur sitaare hote hain.. Ek main aur meri tanhaai shab-e-hijr mein, Aur tumhaari yaadon ke sahaare hote hain.. Tera aana, muskurana, mujhse lipat jaana, Ek khayaal aur kamaal kitne saare hote hain.. Haath mein ye chalti hai khud-ba-khud, Jab kalam ko zakhmon ke ishaare hote hain ...

Samjho na

All d todays post r basically dedicated to someone special. Jaane kya mujhse zamana chahta hai, Mera dil todkar mujhe hasana chahta hai... Jaane kya baat jhalakti hai mere chehre mein, Har shakhs mujhe aajmana chahta hai... Har chah khatam ho gayi tujhe chahne ke baad, bhul chuka tha sab kuch,tujhe paane ke baad, apni galtiyan dhundhta hoon,tere jaane ke baad... Kuch yaad nahi rakhna chahta,tujhe bhulane ke baad. Yaad aate hain woh lamhien, guzar jaane ke baad, Pachtata hoon bahut, tujhe chahne ke baad, Janta hoon main chahoge mujhe tum bhi, Par shayad mere mar jaane ke baad....

Izhaar

Hai pyaar yeh ya kuch aur,, pata chale kaise, Pal pal baat karne ko us-se man jale kaise. Pata hai mujhko ki bekaarari usko bhi hai, Par bina izhaar ye rishta pale kaise...

Chahat

Ankhien to pyaar mein dilki zuban hoti hai, Sachi chahat to sada bezuban hoti hai, Pyar mein agar dard hamien mile to kya gabrana, Suna hai in dardon se chahat aur jawan hoti hai.... I hope every one wud agree to it. N for some people jo apne pyaar ko bhula nahin sakte. Benaam sa ye dard tehar kyon nahi jaata... Jo beet gaya lamha woh gujar kyon nahi jaata... Woh ek hi chehra to nahi saare jahan mein... Jo door hai woh dil se utar kyon nahi jaata... Doston I totally agree to what I have stated above, Pyaar ek woh haseen ehsaas jo bhulaye nahin bhoolta and mitaye nahin mit ta, yeh to bas ho jata hai. N to all sacche ashiq yeh bahut zaroori hai ki aap jisse chahte ho usse ta-umr chahte raho, bhale hi woh aap ko chahe ya na chahe kyonki pyaar naam nahin hai chahat ka, yeh woh jazbaat hai jo do dilon ek doosre se milata. Dil ke sangam ka naam hai pyaar, to doston himmat na hariye, agar aapka pyaar sacha hai to aap ko zaroor milegi aap ki manzil. N issi baat par ek motivational sher. Suni s...

Thanks for such Nice comments

Hi 2 everyone, I m really thankul 2 all of u for all d support and appreciation. One request is there please put ur name n email id also when u r posting u r comment if u r not a blogger member. This will help me in knowing who all r posting d comments. Thanks a ton.

Bahane

Kashish honi chahiye kisiko yad karne ki, lamhe to apne aap hi mil jate hai.. Waqt hona chahiye kisike saath guzarne ke liye, Bahane to apne aap hi mil jaate hai....

Pyaar

Kuch Rishtey Anjane mein ho jate hai, Pehle Dil phir zindagi se jud jate hai, Kehte hai us daur ko PYAR, Jisme dil se dil najane kab mil jate hai

Kalam

Kalam uthaya hai lafz nahin milta, Jisko dhoond rahien hain woh shaks nahin milta. Phirte hain woh zamane ki talaash mein, Bas humare liye unhe waqt nahin milta...

Roye Nahin

Palkon ke kinare jo humne bhigoye nahi, woh sochte hain hum kabhi roye hi nahi... Woh poochte hain khwabon mein kise dekhte ho, Unhe kya pata hum ek umra se soye hi nahi...

Kami si Hai

Kahne ko sab kuch hai, magar kuch kami si hai, Lagta hai ke dhadkan thami si hai... Hamari mohabbat ko thukrane wale zara aaina to dekh.... teri aankho mai bhi nami si hai...

Raat

Raat hogi to chand duhai dega, khawboon mei koi chehra dikhai dega, ye mohabat hai jara soch ke karna, Ek aansu bhi gira to sonai dega

Dhundta hoon

Pathar ke dilo mein mohhabat dhundta hoon.... Beimaano ke shehar main sharafat dhundta hoon ..... Yun to koi wajood nahi hai mera.... Phir bhi apni parchai mai teri tasveer dhundta hoon..

Shayari

Pyaar mein hum naakam kya hua, Har harkat hamari deewangi lagne lagi... Aur nikle jo do lafz, haal-e-dil baayan karne ko, Har woh lafz shayari lagne lagi.....

Zindagi

Jab bhi milti hai ajnabi lagti kyon hai, zindagi roz naye rang badalti kyon ... Tum se bichadien hai to ab kisse milte hai, zindagi dekhiyen kya rang dekhati hai mujhe...

Judai

Jinki tamana dil me thi... Judai ab hum unki sehte hai... Fursat nahi unhe humse kuch baatein karni ki.. Isliye ab hum har waqt khamosh rehte hai...

Dur Rahe

Tammam umr zindagi se dur rahe, Teri Khushi ke liye apne khushi se dur rahe, Iisse bada wafa ki saza kya hogi, Tere ho kar bhi hum tumse dur rahe...

Aa Bhi jaa

Ranjish hi sahi dil dukhane ke liye aa, Aa phir se mujhe chhod ke jaane ke liye aa.. Pehle se marasim na sahi phir bhi kabhi to, Rasm muhabbat ki adhuri nibhane ke liye aa... Kis kis ko bataenge judaai ka sabab hum, tu mujhse khafa hai to zamane ke liye aa... Kuch to meri sacchi muhabbat ka bharam rakh, Tu bhi to kabhi mujh ko manane ke liye aa.... Ek umr se hun muskurahto se bhi mahrum, ae rahat-e-jaan mujh ko rulane ke liye aa.. Ab tak dil-e-kambakht ko tujhse hain ummiden, Yeh aakhri shama bhi ab bujhane ke liye aa.... Mana ki muhabbat ka chhipana bhi muhabbat hi hai, Chupke se kisi roz jatane ke liye aa.... Jaise tujhe aate hain na aane ke bahane, aise hi kisi roz fir na jaane ke liye aa......

Fanaa

Kaun apni mohobbat fanaa karega, Sabhi naik ban gaye to gunah kaun karegaaye . Khudha sanam bewaafa ko bachaye rakhna, Warna humare maut ki dua kaun karega.

Bhatakna

Na jaane kya baat thi unki rahon me, Ke hum umr bhar deewano se bhatakte rahe, Itna mushkil hua khud ko pehchanna, Ke der tak Aaine se ulajhte rahe...

Anjaam

Na jaane kyun har naam mein mujhe tera naam nazar aata hai .... Kabhi tanhai mein kabhi mehfil mein tu sare-aam nazar aata hai .... Lakh bhulana chaho tujhe per tu subah shaam nazar aata hai .... Chahta ho tujhe tab bhi jabki chahne ka anjaam nazar aata hai

Sej

Humne apne wadan kuch iss kadar nibhaya hai .... zakhm se baha lahu phir bhi muskaraye hai ... humne bhi apni mohabbat iss kadar aazamaya hai ... inhe haathon se unki sej saajaya hai

Dastoor

Chahe wafa me thokre khate raho, Phir bhi rasme wade nibhate raho. Yahi to ishq ka dastoor hai yaro, Ki zakhm khate raho aur bas muskurate raho.....

Nami

Dete ho kyon ye dard bas humi ko, kya samjhoge tum in aankhon ki nami ko, Yun to honge lakhon deewane is chand ke, chand kya mehsus karega ek tare ke kami ko...

Hichkiyan

Humsafar gum jo mohabat mein diya hai tumne, Yeh bhi ahsaan sa kiya hai tumne. Hichkiyan bhi kabhi kambakhat nahi aati mujh ko , Jo ye sochun ki mujhe yaad kiya hai tumne...

Zindagi

Gile kaagaz ki tarah hai zindagi.... Koi jalata bhi nahi aur bahata bhi nahi.... Is kadar akele ho gaye hain aajkal.... Koi satata bhi nahi aur manata bhi nahi....

Bas adaat hogayee

Bewafai ki yeh inteha ho gayi, ki tujhse juda hokar bhi jeeney ki aadat hogayee... Tum laut ke aaoge humse milne, roz dil ko behlane ki aadat hogayee... Tere waade pe kya bharosa kiya humney, ki shab bhar tera intezaar karney ki aadat hogayee... Khushi mein bhi hum kya muskurate, ki teri judaai mei rone ki aadat hogayee... Kaafile nikal gaye humein chhor ke, ki ab to tanhaa safar ki aadat hogayee... Har mor par mili ghum ki parchhaiyaan, zindagi se samjhota karne ki aadat hogayee.... Jaante the ki nahi ho saktey kabhi tum hamare, phir bhi khuda se tujhe maangne ki aadat hogayee... Paiman-e-wafaa kya hai humey kya maloom, ki bewafaaon se dil laganey ki aadat hogayee...

Aanson

E Kash Shayari hum bhi likh paate, Lafzon ke khel hum bhi khel paate, Khuda ne dil par kuch chot aisi di, Aanson ko chupake kash hum bhi muskura pate...

Mohabbat

GAR BEKHUDHI NAA HO ISHQ MIEN TO LUFT KAHAN RAH JAAYEGA..... ISS ASKH GAM KE BINA YEH SAFAR ADHOORA KHALAYGA... AUR GAR WOH BHI BEKHABAR HO KAR AA JAAYE MERI BAAHON MEIN TO USKI AUR MERI MOHABBAT MAI FARAK KAHAN RAHA JAAYAGA.... YU TO HAMARI MOHABBAT KE FASANA HAR TARAF HAIN MASHOOR AGAR WOH BHI IKRAAR KAR DE TO YEH AFSAANA KAHAN JAAYAGA... AUR YU TO TAA UMAR MIL NAA PAAYI SOHRAT HUMKO MARNE KA BAAD HI "ARTH" SHAYAR KHALAAYAGA ...

Raat

Log chale jatay hain,wapas nahin aate Hum bhoolna chahien to bhoola nahin paate Yeh chand sitaray mujhe dete hain yeh nasihaat Raaton ko phira karte ho, so kyon nahin jate.....

Gam

Many Thanxxs 2 all, who have been posting ur comments on d blog, but wud really appreciate if u will post ur name also. Jinki ankhien ansuon se nam nahin, Kya samjhte ho unhe koi gam nahin, Tum to tadap ke ro diye to kya hua, Gam chupake ke bhi hasne wale kam nahi...

Kismat

Yeh raat itni tanhaa kyun hoti hai , kismat se apne sabko shikayaat kyun hoti hai ; ajeeb khel khelti hai kismat , Jise hum pa nahi sakte , ussi se mohabbat kyon hoti hai

Palkien

Woh roothe rahe hum manate rahe....... Unki rahon mein palkein bichate rahe.... Unhone kabhi palat ke bhi nahi dekha.... Hum palkein jhapkane se bhi katrate rahe.....

Mohabbat

Kasoor na unka tha na hamara......., hum dono hi rishto ki rasam nibhate rahe......, Woh dosti ka ehsaas jatate rahe ...., hum mohabbat ko dil me chupate rahe..

Unki Kami

Waqt guzarta raha par sansein thami si thi...... muskura raha tha par aankhon me nami si thi... Sath hamare yeh jahan tha sara.... Par na jane kyun..unki ki kami si thi...

Dosti

Teri dosti hum is tarah nibhayenge, Tum roz khafa hona hum manayenge. Par maan jaana manane se, Warna ye bheeghi palkien lekar kahan jayenge.

Tu

Mere wajud mein kash tu utar jaye, Main dekhu aaina aur to najar aaye. Tu ho samne aur waqt taher jaye, Ye zindagi tujhe yunhi dekh dekh guzar jaye.

Dosti

Har kurbani tujh pe kurban hai, Yeh zindgani bhi tere naam hai. Mili hai jo is jahan mein dosti teri, Yeh khuda ka mujh par yeh ehsaan hai

Hasrat

Hasrat hai sirf unhe pane ki, Aur koi khwahish nahin is deewane ki. Shikwa mujhe unse nahin, khuda se hai, Kya zarurat thi unhe itna khoobsurat banana ki.

Yaad

Har aahat ehsas hamara dilayegi, Har hawa kissa hamara dohrayegi. Hum itna yaad bhar denge aap ke dil mein, Ki na chahte hue bhi hamari yaad aayegi.

Getting inspired by Fanaa

I am writing alomst a after a month n half, there were couple of reasons for that, less viewership and got busy with something or the other. Rather than cribbing abt why not writing/posting, I wish to highlight d reason 4 continuing this blog, "which is all about my thoughts" that actually after seeing stunning performance of Aamir in Fanaa yday n his shers, made me to write back again. So for all the Zooni's who r waiting n all the rehaans whoo dont have the power of shayaaris, I m here 2 help them out.

Muskurahat

This is from one of my frnd. Mast nazron se dekh lena tha, Agar tamanna thi azmane ki. Hum to yuhi behosh ho jate, Kya zaroorat thi muskurane ki.

Dosti

Zamane se kab ke guzar gaye hote, Thokar na lagi hoti bach gaye hote. Bandhe the bas teri dosti ke dhaage mein, Warna kab ke mar gaye hote!!

Ghazal-Origin n meaning

To all of them who don't know the difference between Ghazal n Sher. Ghazal is a collection of Shers. Sher is a poem of two lines. Every sher in itself is a poem. Ghazal is an Arabic word that literally means a "discourse" or more correctly a "talk to women". Qasida , an Arabic form of poetry came to Iran in about the 10th century. It was at times unmanageably long, n often have 100 couplets or more. A portion of the qasida, known as the tashib was detached and this became the ghazal. The ghazal soon became the most popular form of poetry in Iran. Ghazal's introduction into India from the 12th century, was part of an ongoing revolution in North Indian society. India considered herself to be culturally inferior to greater Persia. Thus Persian culture became a great inspiration for India. It was given a local colour by many Indian artists such as Amir Khusru, and continued to enjoy widespread popularity among Indian Muslims for many centuries. Although the ghaz...

Zindagi by Nida Fazli

Jo kho jata hai milkar zindagi mein, Gazal hai naam uska shayaari mein. Nikal aate hain aansu haste-haste, Yeh kis gham ki kasak hai har khushi mein. Kahin aakhien, kahin chera, kahin labh Hamesha ek milta hai, kai mein. Chamakti hai n andhero mein khamoshi, Sitaare tootte hain raat hi mein. Guzar jaati hai yu hi umr saari, Kissi ko dhondte hai hum kissi mein. Bahut mushkil hain banjara mijazi, Saalika chahiye aawargi mein.

Tumhare liye

Waqt milta nahin hai tumhe hamare liye, phir bhi karte intezaar har lamha Tumhare liye. Doobe hue hai ab tak tumhaari chaahat mein, Shayad ab tairna bhi na chahte tum hamari yaad mein! Kyon duniya lagti sooni Tumhare bina, Khush to lagte ho tum hamare bina. Aansoon bahate hai kabhi Tumhare liye, Kabhi muskura liya karo hamare liye. Dhoonte hai Tumhara zikr har anjuman mein, Yaad bhi na aate honge hum Tumhaari mehfil mein, Jaane kya rang laayega ye pyaar hamara, Dua hai bas khaayam rahe sadaa saath Tumhare.

Log

Kitne zalim hain ki gham ko kushi kehte hain log, Shama Pighalti jaa rahi hai ki roshni kehte hain log. Sochiye to husn itna bewafaa hota nahin, Husn ki majbooriyon ko kaise berookhi kehte hain log. Hum to dil mein bhi basa ke unhe aapna na keh paye, Kaise do char mulakaton ko dosti kehte hain log.

Aakhien

Surkh aankhon se woh jab hamien dekhte hain..... Hum ghabaraker aakhien jhuka lete hain.... Kaun milaye un aankhon se aankhien... Suna hai woh aankhon se apna bana lete hain....

Raat

Raat kya dhali sitare chale gaye.... Gairon se kya gila karien jab apne chale gaye... Jeet to sakte the hum har baazi.... Magar kisi ki jeet ke liye harte chale gaye.....