Skip to main content

Chahat

Ankhien to pyaar mein dilki zuban hoti hai,
Sachi chahat to sada bezuban hoti hai,
Pyar mein agar dard hamien mile to kya gabrana,
Suna hai in dardon se chahat aur jawan hoti hai....

I hope every one wud agree to it. N for some people jo apne pyaar ko bhula nahin sakte.

Benaam sa ye dard tehar kyon nahi jaata...
Jo beet gaya lamha woh gujar kyon nahi jaata...
Woh ek hi chehra to nahi saare jahan mein...
Jo door hai woh dil se utar kyon nahi jaata...

Doston I totally agree to what I have stated above, Pyaar ek woh haseen ehsaas jo bhulaye nahin bhoolta and mitaye nahin mit ta, yeh to bas ho jata hai. N to all sacche ashiq yeh bahut zaroori hai ki aap jisse chahte ho usse ta-umr chahte raho, bhale hi woh aap ko chahe ya na chahe kyonki pyaar naam nahin hai chahat ka, yeh woh jazbaat hai jo do dilon ek doosre se milata. Dil ke sangam ka naam hai pyaar, to doston himmat na hariye, agar aapka pyaar sacha hai to aap ko zaroor milegi aap ki manzil. N issi baat par ek motivational sher.

Suni sunayi baat nahin hai, aapne upar beeti hai,
Phool nikalte hain shoolon se, chahat aag lagaye to.

So yaroon, inhi dardon ke sahare aapni chahaton ko jawan karte raho..

Comments

Anonymous said…
I hope u wud find this gud enough-Savita
Khuda ne mujhse kaha, bande, ishq na kar, tu deewana ho jayega.
Maine kaha - e khuda, tu mail padhne wale se mil, tujhe bhi ishq ho jayega-

Popular posts from this blog

Tumhare liye

Waqt milta nahin hai tumhe hamare liye, phir bhi karte intezaar har lamha Tumhare liye. Doobe hue hai ab tak tumhaari chaahat mein, Shayad ab tairna bhi na chahte tum hamari yaad mein! Kyon duniya lagti sooni Tumhare bina, Khush to lagte ho tum hamare bina. Aansoon bahate hai kabhi Tumhare liye, Kabhi muskura liya karo hamare liye. Dhoonte hai Tumhara zikr har anjuman mein, Yaad bhi na aate honge hum Tumhaari mehfil mein, Jaane kya rang laayega ye pyaar hamara, Dua hai bas khaayam rahe sadaa saath Tumhare.

Zindagi by Nida Fazli

Jo kho jata hai milkar zindagi mein, Gazal hai naam uska shayaari mein. Nikal aate hain aansu haste-haste, Yeh kis gham ki kasak hai har khushi mein. Kahin aakhien, kahin chera, kahin labh Hamesha ek milta hai, kai mein. Chamakti hai n andhero mein khamoshi, Sitaare tootte hain raat hi mein. Guzar jaati hai yu hi umr saari, Kissi ko dhondte hai hum kissi mein. Bahut mushkil hain banjara mijazi, Saalika chahiye aawargi mein.