Skip to main content

Dhundta hoon

Pathar ke dilo mein mohhabat dhundta hoon....
Beimaano ke shehar main sharafat dhundta hoon .....
Yun to koi wajood nahi hai mera....
Phir bhi apni parchai mai teri tasveer dhundta hoon..

Comments

Anonymous said…
Dil ke zakhmo ko unse chupana pada...
palke bhigi thi par muskurana pada...
Kaise ulte hain pyaar ke yeh riwaaz,
Roothna chahate the unse hum, par unhi ko manana pada !

Popular posts from this blog

Tumhare liye

Waqt milta nahin hai tumhe hamare liye, phir bhi karte intezaar har lamha Tumhare liye. Doobe hue hai ab tak tumhaari chaahat mein, Shayad ab tairna bhi na chahte tum hamari yaad mein! Kyon duniya lagti sooni Tumhare bina, Khush to lagte ho tum hamare bina. Aansoon bahate hai kabhi Tumhare liye, Kabhi muskura liya karo hamare liye. Dhoonte hai Tumhara zikr har anjuman mein, Yaad bhi na aate honge hum Tumhaari mehfil mein, Jaane kya rang laayega ye pyaar hamara, Dua hai bas khaayam rahe sadaa saath Tumhare.

Shayari

Pyaar mein hum naakam kya hua, Har harkat hamari deewangi lagne lagi... Aur nikle jo do lafz, haal-e-dil baayan karne ko, Har woh lafz shayari lagne lagi.....