Skip to main content

Zindagi koi badua lage

Hi 2 all, again many thanks for visiting d blog n keeping my spirits high to write more n more. This is something which I want 2 dedicate 2 someone special, N I really like d 3 para, njoi reading.

Har ek rooh mein ek gham chupa laage hai mujhe,
Yeh zindagi to koi badua laage hai mujhe.

Na jaane waqt ki raftar kya dikhati hai mujhe,
Kabhi Kabhi to bada khauf sa laage hai mujhe.
Yeh zindagi to koi badua laage hai mujhe.

Ab ek-aadh kadam ka hisaab kya rakhe,
Ab talag to wahi fasla lage hai mujhe.
Yeh zindagi to koi badua laage hai mujhe.

Daba ke aayi hai seena mein kaun si aahien,
Kuch aaj rang sawla lage hai mujhe.
Yeh zindagi to koi badua laage hai mujhe.
Yeh zindagi to koi badua laage hai mujhe.

Comments

Popular posts from this blog

Zindagi by Nida Fazli

Jo kho jata hai milkar zindagi mein, Gazal hai naam uska shayaari mein. Nikal aate hain aansu haste-haste, Yeh kis gham ki kasak hai har khushi mein. Kahin aakhien, kahin chera, kahin labh Hamesha ek milta hai, kai mein. Chamakti hai n andhero mein khamoshi, Sitaare tootte hain raat hi mein. Guzar jaati hai yu hi umr saari, Kissi ko dhondte hai hum kissi mein. Bahut mushkil hain banjara mijazi, Saalika chahiye aawargi mein.