Skip to main content

Samjho na

All d todays post r basically dedicated to someone special.

Jaane kya mujhse zamana chahta hai,
Mera dil todkar mujhe hasana chahta hai...
Jaane kya baat jhalakti hai mere chehre mein,
Har shakhs mujhe aajmana chahta hai...

Har chah khatam ho gayi tujhe chahne ke baad,
bhul chuka tha sab kuch,tujhe paane ke baad,
apni galtiyan dhundhta hoon,tere jaane ke baad...
Kuch yaad nahi rakhna chahta,tujhe bhulane ke baad.
Yaad aate hain woh lamhien, guzar jaane ke baad,
Pachtata hoon bahut, tujhe chahne ke baad,
Janta hoon main chahoge mujhe tum bhi,
Par shayad mere mar jaane ke baad....

Comments

Popular posts from this blog

Zindagi by Nida Fazli

Jo kho jata hai milkar zindagi mein, Gazal hai naam uska shayaari mein. Nikal aate hain aansu haste-haste, Yeh kis gham ki kasak hai har khushi mein. Kahin aakhien, kahin chera, kahin labh Hamesha ek milta hai, kai mein. Chamakti hai n andhero mein khamoshi, Sitaare tootte hain raat hi mein. Guzar jaati hai yu hi umr saari, Kissi ko dhondte hai hum kissi mein. Bahut mushkil hain banjara mijazi, Saalika chahiye aawargi mein.