Skip to main content

Kalam

Kalam uthaya hai lafz nahin milta,
Jisko dhoond rahien hain woh shaks nahin milta.
Phirte hain woh zamane ki talaash mein,
Bas humare liye unhe waqt nahin milta...

Comments

Popular posts from this blog

Tumhare liye

Waqt milta nahin hai tumhe hamare liye, phir bhi karte intezaar har lamha Tumhare liye. Doobe hue hai ab tak tumhaari chaahat mein, Shayad ab tairna bhi na chahte tum hamari yaad mein! Kyon duniya lagti sooni Tumhare bina, Khush to lagte ho tum hamare bina. Aansoon bahate hai kabhi Tumhare liye, Kabhi muskura liya karo hamare liye. Dhoonte hai Tumhara zikr har anjuman mein, Yaad bhi na aate honge hum Tumhaari mehfil mein, Jaane kya rang laayega ye pyaar hamara, Dua hai bas khaayam rahe sadaa saath Tumhare.

Zindagi by Nida Fazli

Jo kho jata hai milkar zindagi mein, Gazal hai naam uska shayaari mein. Nikal aate hain aansu haste-haste, Yeh kis gham ki kasak hai har khushi mein. Kahin aakhien, kahin chera, kahin labh Hamesha ek milta hai, kai mein. Chamakti hai n andhero mein khamoshi, Sitaare tootte hain raat hi mein. Guzar jaati hai yu hi umr saari, Kissi ko dhondte hai hum kissi mein. Bahut mushkil hain banjara mijazi, Saalika chahiye aawargi mein.