Kuch sapne aaj bhi hain ashkon par,
jinhe sajaane ko jee chahta hai.
Kuch armaan aaj bhi hain seene me,
Jinhe poora karne ko jee chahta hai....
Kuch aansoo aaj bhi hain palko par,
jinhe bahaa dene ko jee chahta hai.
Kuch unkahe lavz aaj bhi hain labon par,
Jinhe keh dene ko jee chahta hai...
Kuch khwahish aaj bhi hain zindagi me,
Jinhe sach karne ko jee chahta hai.
Kuch ranjish aaj bhi hain dil me,
Jinhe mita dene ko jee chahta hai...
Kuch sawaal aaj bhi hain mann me,
Jinhe poochne ko jee chahta hai.
Kuch khauff aaj bhi zehan me,
Jinhe bhool jaane ko jee chahta hai...
Na jaane kyun hai tanhai ka aalam aaj bhi,
shaayad tumhara saath paane ko jee chahta hai.
Na jaane kyun hai dhadkano ko kami kisi ki,
Shaayad tumhe dil me basane ko jee chahta hai.....
jinhe sajaane ko jee chahta hai.
Kuch armaan aaj bhi hain seene me,
Jinhe poora karne ko jee chahta hai....
Kuch aansoo aaj bhi hain palko par,
jinhe bahaa dene ko jee chahta hai.
Kuch unkahe lavz aaj bhi hain labon par,
Jinhe keh dene ko jee chahta hai...
Kuch khwahish aaj bhi hain zindagi me,
Jinhe sach karne ko jee chahta hai.
Kuch ranjish aaj bhi hain dil me,
Jinhe mita dene ko jee chahta hai...
Kuch sawaal aaj bhi hain mann me,
Jinhe poochne ko jee chahta hai.
Kuch khauff aaj bhi zehan me,
Jinhe bhool jaane ko jee chahta hai...
Na jaane kyun hai tanhai ka aalam aaj bhi,
shaayad tumhara saath paane ko jee chahta hai.
Na jaane kyun hai dhadkano ko kami kisi ki,
Shaayad tumhe dil me basane ko jee chahta hai.....
Comments
Specially the last para..