Skip to main content

Bas adaat hogayee

Bewafai ki yeh inteha ho gayi,
ki tujhse juda hokar bhi jeeney ki aadat hogayee...

Tum laut ke aaoge humse milne,
roz dil ko behlane ki aadat hogayee...

Tere waade pe kya bharosa kiya humney,
ki shab bhar tera intezaar karney ki aadat hogayee...

Khushi mein bhi hum kya muskurate,
ki teri judaai mei rone ki aadat hogayee...

Kaafile nikal gaye humein chhor ke,
ki ab to tanhaa safar ki aadat hogayee...

Har mor par mili ghum ki parchhaiyaan,
zindagi se samjhota karne ki aadat hogayee....

Jaante the ki nahi ho saktey kabhi tum hamare,
phir bhi khuda se tujhe maangne ki aadat hogayee...

Paiman-e-wafaa kya hai humey kya maloom,
ki bewafaaon se dil laganey ki aadat hogayee...

Comments

Gotta Be Max said…
Wah wah!
Amazing!
Bhaiya likh toh gajab kaa lete ho...
thodee padhai par bhi dhyaan do...
warna sochnaa na pade
kee number kam kyun le aate ho...

Popular posts from this blog

Tumhare liye

Waqt milta nahin hai tumhe hamare liye, phir bhi karte intezaar har lamha Tumhare liye. Doobe hue hai ab tak tumhaari chaahat mein, Shayad ab tairna bhi na chahte tum hamari yaad mein! Kyon duniya lagti sooni Tumhare bina, Khush to lagte ho tum hamare bina. Aansoon bahate hai kabhi Tumhare liye, Kabhi muskura liya karo hamare liye. Dhoonte hai Tumhara zikr har anjuman mein, Yaad bhi na aate honge hum Tumhaari mehfil mein, Jaane kya rang laayega ye pyaar hamara, Dua hai bas khaayam rahe sadaa saath Tumhare.

Zindagi by Nida Fazli

Jo kho jata hai milkar zindagi mein, Gazal hai naam uska shayaari mein. Nikal aate hain aansu haste-haste, Yeh kis gham ki kasak hai har khushi mein. Kahin aakhien, kahin chera, kahin labh Hamesha ek milta hai, kai mein. Chamakti hai n andhero mein khamoshi, Sitaare tootte hain raat hi mein. Guzar jaati hai yu hi umr saari, Kissi ko dhondte hai hum kissi mein. Bahut mushkil hain banjara mijazi, Saalika chahiye aawargi mein.