Skip to main content

Aa Bhi jaa

Ranjish hi sahi dil dukhane ke liye aa,
Aa phir se mujhe chhod ke jaane ke liye aa..
Pehle se marasim na sahi phir bhi kabhi to,
Rasm muhabbat ki adhuri nibhane ke liye aa...

Kis kis ko bataenge judaai ka sabab hum,
tu mujhse khafa hai to zamane ke liye aa...
Kuch to meri sacchi muhabbat ka bharam rakh,
Tu bhi to kabhi mujh ko manane ke liye aa....

Ek umr se hun muskurahto se bhi mahrum,
ae rahat-e-jaan mujh ko rulane ke liye aa..
Ab tak dil-e-kambakht ko tujhse hain ummiden,
Yeh aakhri shama bhi ab bujhane ke liye aa....

Mana ki muhabbat ka chhipana bhi muhabbat hi hai,
Chupke se kisi roz jatane ke liye aa....
Jaise tujhe aate hain na aane ke bahane,
aise hi kisi roz fir na jaane ke liye aa......

Comments

Popular posts from this blog

Tumhare liye

Waqt milta nahin hai tumhe hamare liye, phir bhi karte intezaar har lamha Tumhare liye. Doobe hue hai ab tak tumhaari chaahat mein, Shayad ab tairna bhi na chahte tum hamari yaad mein! Kyon duniya lagti sooni Tumhare bina, Khush to lagte ho tum hamare bina. Aansoon bahate hai kabhi Tumhare liye, Kabhi muskura liya karo hamare liye. Dhoonte hai Tumhara zikr har anjuman mein, Yaad bhi na aate honge hum Tumhaari mehfil mein, Jaane kya rang laayega ye pyaar hamara, Dua hai bas khaayam rahe sadaa saath Tumhare.

Zindagi by Nida Fazli

Jo kho jata hai milkar zindagi mein, Gazal hai naam uska shayaari mein. Nikal aate hain aansu haste-haste, Yeh kis gham ki kasak hai har khushi mein. Kahin aakhien, kahin chera, kahin labh Hamesha ek milta hai, kai mein. Chamakti hai n andhero mein khamoshi, Sitaare tootte hain raat hi mein. Guzar jaati hai yu hi umr saari, Kissi ko dhondte hai hum kissi mein. Bahut mushkil hain banjara mijazi, Saalika chahiye aawargi mein.