Skip to main content

Zindagi by Nida Fazli

Jo kho jata hai milkar zindagi mein,
Gazal hai naam uska shayaari mein.

Nikal aate hain aansu haste-haste,
Yeh kis gham ki kasak hai har khushi mein.

Kahin aakhien, kahin chera, kahin labh
Hamesha ek milta hai, kai mein.

Chamakti hai n andhero mein khamoshi,
Sitaare tootte hain raat hi mein.

Guzar jaati hai yu hi umr saari,
Kissi ko dhondte hai hum kissi mein.

Bahut mushkil hain banjara mijazi,
Saalika chahiye aawargi mein.

Comments

Anonymous said…
wah! ek meri taraf se..

Is kadar na har baat yaro se pucho,
jo baat raaz ki ho isharo se pucho,
Lehro se khelna to sagar ka shauk hai,
lagti hai chot kitni kisi kinare se pucho!
Anonymous said…
Bahoot mushkil hai ke jisko humne chaha voh hume mile.
Zindagi me jo sache aasiq the hamesha voh akele mile.
Galib, meer banna assan nahin e doosto,
Per her ek kuchhe me humjaise diljale voh tumhe mile.
Anonymous said…
Nice! Where you get this guestbook? I want the same script.. Awesome content. thankyou.
»

Popular posts from this blog

Tumhare liye

Waqt milta nahin hai tumhe hamare liye, phir bhi karte intezaar har lamha Tumhare liye. Doobe hue hai ab tak tumhaari chaahat mein, Shayad ab tairna bhi na chahte tum hamari yaad mein! Kyon duniya lagti sooni Tumhare bina, Khush to lagte ho tum hamare bina. Aansoon bahate hai kabhi Tumhare liye, Kabhi muskura liya karo hamare liye. Dhoonte hai Tumhara zikr har anjuman mein, Yaad bhi na aate honge hum Tumhaari mehfil mein, Jaane kya rang laayega ye pyaar hamara, Dua hai bas khaayam rahe sadaa saath Tumhare.