Skip to main content

Log

Kitne zalim hain ki gham ko kushi kehte hain log,
Shama Pighalti jaa rahi hai ki roshni kehte hain log.

Sochiye to husn itna bewafaa hota nahin,
Husn ki majbooriyon ko kaise berookhi kehte hain log.

Hum to dil mein bhi basa ke unhe aapna na keh paye,
Kaise do char mulakaton ko dosti kehte hain log.

Comments

Anonymous said…
Great site loved it alot, will come back and visit again.
»
Anonymous said…
I find some information here.

Popular posts from this blog

Tumhare liye

Waqt milta nahin hai tumhe hamare liye, phir bhi karte intezaar har lamha Tumhare liye. Doobe hue hai ab tak tumhaari chaahat mein, Shayad ab tairna bhi na chahte tum hamari yaad mein! Kyon duniya lagti sooni Tumhare bina, Khush to lagte ho tum hamare bina. Aansoon bahate hai kabhi Tumhare liye, Kabhi muskura liya karo hamare liye. Dhoonte hai Tumhara zikr har anjuman mein, Yaad bhi na aate honge hum Tumhaari mehfil mein, Jaane kya rang laayega ye pyaar hamara, Dua hai bas khaayam rahe sadaa saath Tumhare.

Zindagi by Nida Fazli

Jo kho jata hai milkar zindagi mein, Gazal hai naam uska shayaari mein. Nikal aate hain aansu haste-haste, Yeh kis gham ki kasak hai har khushi mein. Kahin aakhien, kahin chera, kahin labh Hamesha ek milta hai, kai mein. Chamakti hai n andhero mein khamoshi, Sitaare tootte hain raat hi mein. Guzar jaati hai yu hi umr saari, Kissi ko dhondte hai hum kissi mein. Bahut mushkil hain banjara mijazi, Saalika chahiye aawargi mein.