Skip to main content

Posts

Hal-e dil

Suna hai ki bas ek nighaon mein lutte hain kafila dil ke, Isliye to hum bhi unhe dekhte hain dar-dar ke.
Recent posts

Badal

Rukta bhi nahin hai, aur theek se chalta bhi nahin Yeh dil hai, ke tere baad ab sambhalta bhi nahin Is umar ke sehra se, teri yaad ka badal, Talta bhi nahin hai, aur barasta bhi nahin.........

Bewafa

Uske ishq ka zahar kam nahi hota, bhoolna chahta hoon asar khatam nahi hota, na jane kya tha us bewafa ke pyaar mein, uski bewafai ka kahar kam nahin hota.

Bewafa

Na poocho mere sabr ki inteha kahan tak hai ... woh karle sitam uski taakat jahan tak hai... wafa ki umeed kisko hai.. abto dekhna hai wo bewafa kahan tak hai!!

Shayar

Poochte hai woh humse ke log shayar kyon ban jate hai, Unki addaon ko dekh kar, alfaaz yuhi nikal aate hai. Karta hoon main kosish apne jazbaaton ko shayhi mein utarne ki, Par us gazal ke samne mere lafz hamesha kam hi pad jate hai..

Tasveer

Pathar ke dilo mein mohabat dhoondta hoon, beimano ke shehar mein sharafat dhoondta hoon. Yu to koi wajood nahin hai mera, phir bhi apni parchai mein teri tasveer dhoondta hoon.

Tanhayee

Pucho na us kagaj se, jis pe hum dil ke bayan likhte hai, Tanhayino mein beeti baate tamam likhte hai, Woh kalam bhi dewani ho gayi, Jis se hum AAP ka Naam likhte hai.

Bewafa

Aaj bhi uski nazroon mein raaz wahi tha, Chehra wahi tha aur Chehre ka nakaab wahi tha. Kaise use bewafa kahun, Aaj bhi uske dekhne ka aandaz wahi tha.